Elegant Rose - Working In Background

Snow fall

Blogger Widgets

Saturday, December 24, 2011

Shuruaat khatarnaak hai


Shuruaat..... bhot khatarnaak hai... thos word is somthing like life enemy in life and for life. but as we all know to do something we need to start that thing.
kuch aisa hi hota hai dhai achar ka shabd 'pyar' 'love' magar jab baat ati hai shuru karne ki to dhadkane ruk jati hai, shashein tham jati hai
, zahan tham jata hai, memory loss hone lagti hai, chaand bada ho jata hai, neend nai aati hai, bukhar bada acha lagta hai.
daan ek pyar me badal jati hai. attitude zawan ho jata hai. but being an adult from a child is not that much easier thing.
ek chiz mai batana chahunga ki.. aj mai bhot emotional shayad na lag rha hu... bt mera dil aj hai...... kahin na kahin ye
dimag hai jo kabu kiye hue hai bhavnaon me behne se. magar kab tak? sawal shayad kab tak ka hota to maaan sakte the ki
kuch dino ya mahino ki baat hai. magar ji meri mane to ye mahino ya dino ki baat nahi hoti... bola jaye to ye wo aag ka dariya hai... jise bus doob k jana hai
.shayad kisi ne sach hi kaha hai.. pyar kisi war see kam nahi... par kuch ne ye v kaha hai ki pyar ho to war sayad nahi honge. han sach hai.
aj ki is shard raat mai agar ye 12.39 am par ye likh raha hun to shayad iske piche kahin na kahin kisi ki +ve enrgy hai. kisi k
zazbaat hai. khayal hai. magar aj us zazbaat aur khayal ki baat mai nahi karne wala. aj mood nahi.
kisi ek zamane me mai apko le ja raha hu agar apki izazat ho to. ...
about in 1900 and after there was a man he was too much atracted of his horse.
wo ek samandar kinare rehta tha. roz subeh subeh karib 5 baje wo ghudsawari ko jata. har roz use us kinare apr koi nahi milta
ek raat usne bina ghadi dekhe apni ghudswari ko nikal pada. waqht ho rha tha 2 baj k 20 min k karib. ghde ko jab wo har baar tez karne ki koshis karta to ghoda so jata
. us admi ko pata ho na ho. us ghode ko ye zarur pata rha hoga ki ye waqht uske malik k ghudsawari ka nahi hai.. wo admi us ghode se pareshaaan ho kar ghode se utar gya.
utarne k baad hi usne ek tez chamak dekhi. fir wo chamak gayab bhi ho gyi.... usne us ghatna par jyada dhyan nahi diya. magar us chamak k piche se ek hasin khubsurat mahila
ayi. usne ek acchi laal rang ka lehanga pene rakha tha. aur kuch khojte khojte us admi se ja puchi... ''apne kahi ek kale rang ka
tota dekha hai kya?'' admi ne kaha ''nahi... par kya kaale rang ka v koi tota hota hai bhala?'' us mahila ne kaha ''han.. '' fir kaha ''apne kabhi nahi dekha kya?''
admi ne kaha ''nahi'' is do shabd k baad unme tamam baatien hui jo unke har ek khushi ya nakhushi ko bayan karne k liye kafi thi. bhot batien hui... dono ne ye tak puch liya ki
apko agar mujhse sadi karni hui to kya ap karenge? ladke ka jabab tha ''han'' aur ladki ka ''sochungi.... kal batati hu''

pyar ki baton me mai batana bhul gya ki apko merry christmas. apka vishwash apke pyaar ko amar banye rakhe. -tj

kya apko lagta hai ladki ne kya kaha hoga agle din?
han?
nahi?
ya .....

mai batata hu,
agle subah jab wo 5 baje utha aur us kinare par gya to use waha koi na mila. use kuch ser k liye pata nahi chala ki wo avi tak ayi kyo nahi
magar use kaha pata tha ki pichle din to wo 2 baje hi waha pahucha tha. agle dn wo fir 5 baje gya.. eh din hardin wo 5 baje jata gya.
ek raat jab admi so raha tha tb ghode k paas wahi roshni ayi jo us waqht waha kinare par ghode ne dekha tha aur us admi ne nahi. ghode ko chalne ka isara karte hue .. wo roshni use
us samandar k paas le gyi. aur waha khadi us ladki ne kaha ''mujhe pata tha tmhar malik nahi ayega. isliye tmhe bulaya hai
ye le jao aur apne malik ko de dena.''
agle subah jab admi kinare par 5 bje jane ki tayari kar rha tha tabhi ghode ne use wo chitthi jo us ladki ne ghode ko diya tha de diya
. admi ne wo padha ... usme likha tha ''Shuruaat..... bhot khatarnaak hai... mai shayad han keh deti -agar tm aa jate.''
aur niche likha tha -pyar

that women was no one else but love. love gave that person the chance to win her but that was his fault that he not went at right time.
waqht ki us karbat ne ek mulakaat na hone di. ek jawab ko badal kar rakh diya , aur sath hi me badal daali us admi ki duniya.
sacha pyar kaha gumm ho jata hai. aur hum use kaha dhoondte hai..
hamari achayi to mayne rakhti hi hai... par us se jyada mayne rakhti hai soch. hum kaisa sochte hai , samjhte hai... saari baatein.

"Gunaah mera ..,
saza unka.. ,
bewafai meri ..
aur maut unka.

zameer meri aur ..
kafan unka..
dastur mere..
zahan unka...
raakh meri..
aur aag unka!"
allah hafiz..
-TJ