Kuch zindagi maut ko chunti hai. To kuch maut zindagi ko. Magar yaha na to zindagi ne kuch chuna aur na hi maut ne. Kuch chuna v to wo thi asafal haari huyi zindagi. Chikhon ne insaaf maange aur mili use maut. Hazaro crore dua aur saath ek pal me mano bikhar gya ho. Acchayi bauni lagne lagi hai. Dharm aur loktantra se vishwas v uthne laga hai. Kuch na ho saka ye alag baat hai. Hum kuch na kar sake iske liye pura desh sarminda hai. Tham gayi jab saanshein uski tab fir jagi hamari loktantrik pahluyein aur gusson ne unki bolti band kar di. Intzaar tha to bs mango k pura hone ka. 2.15 am baj raha tha jab usne apni aakhiri saansh li. Aur pura ka pura desh razayi k andar so raha tha. 16 dec v 29 dec se kuch kam na thi. Vahi haal tha. Sochne wale log aage badhe to na sochne walo ne fir vahi kaam kiya jise hum tamasha dekhna kehte hai. Ro v nahi sakta pura desh aj ek sath. Hamare is loktantrik desh me kanoon ne v hath piche kar liye. Koi kanoon v aisa paas nahi ho paya jo yah taye kare ki balatkar karne ki kya saza hai. Faanshi lagane ki maang hai Damini Rape Case ko lekar sabhi isi jutt me hai ki un 6 logo ko faanshi honi chahiye. Magar kya hum sirf Damini k liye hi ye jang lad rahe hai? Jab yahi jang ladi ja rahi thi tab sehar bhar me pure desh me kai alag alag jagah bahre danav ne kuch nahi sikha. Upar se isi balatkar k bich aur balatkar ki khabre aati rahi. Kyo itne hairvaan hai hum ? Kyo hum koi kanoon nahi banate? Aur kyo hum acche insaan nahi banna chahte? Kya aj 29 ko mai yah keh sakta hu ki meri behan aur tamam ladkiyan surakshit hai? Ya mai kabhi hairvaan nahi banunga. Jawab bhale hi satt pratishat na ho. Par kya hum aisa soch v sakte hai? Un 6 logo ki vajah se hi aaj Damini ki maut huyi hai kya ab unhe faanshi nahi honi chahiye?????
Ek asurakshit desh ka sarminda nagrik
-TJ
No comments:
Post a Comment