Anjana sa ek mod hai. Kahi khada koi bhot door hai...
Lagta hai apna sa koi is rashte par, par jo Mehak hai wo kahi gumm hai.
Feka hua ek gulab jo dikha.. use masal kar aage mai badha tha;
Raat ko mai din samjh kar chala tha, kasamo ko khel samjh li hmne..badi gustakhi ho gyi...
Koi mabroor na tha, koi mazboor na tha..
Apna jo tha, wo humse door na tha.
Fir v the hum tanha na jane kyo...
Fool jo maine masla... Mehek aaj bhi mujhe uski kuchal rahi hai..
Udta hu fir se ek nayi panchi ki trah khule aasamaan me ..naye sire se pankh lekar ..
Pakad na sakega ab koi...
Khel nahi hai ab, kha chuka ek baar thokar..
Va-ruftagi se jo tmhe pyar karta hu..
Uski inayat bhi kabhi dekh lo..
Masla tha jin kadmo se us fool ko uski haalat bhi dekh lo..
Rehmat-e-pyar kurbaan kar gya teri shiddat me-
Masumiyat hai hi teri jo in nazakat me..
Dhoond na sakunga jitna bhi ud jao aj mai...
Us fool ki Mehak aaj bhi hai Dil me...
-1st dec @12
Sunday, December 9, 2012
Mehek Aj Bhi Dil Me Hai
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment