Aj ki raat fir andheri hai,
chand to hai par kambakhat chandni akeli hai.
isi raat se hai mujhe pyaar,
jo maano mujh par hi ho meherbaan..
waqt ki zanzir ne ise baarah ghanto ke liye baandha.. aur mai zindgi is'se baandh aya hun..
Sath hai ek aur Mehfil ki raunak.. sang hai ek aur hasin khubsurat..
jalti hai wo ..bujhti hai wo.. jaane kahan kahan mujhe chumbti hai wo..
inshah allah khair hai is shabbab ka ki khatm na hoti maut k intejar par..
raakh hai jab tak is laali par ..baat hai tab tab iski sawri par.
berukhi ise pasand nahi.. fir v bewafai na karti hai.. us se bhali to ye hai jo dur ho kar judai na sehti hai..
pyaar ki ek dor is halke hawa ki zhokhe hi kavi toda karte hai.. par wo to bewaqt hi tod jati hai..
magar raat jaise hoti hai bewafa ye v hame chor jati hai.
raat ki rani badi shayani botal ki kahani suniye ab meri jubani... kehta hai ye sharabi aj is shabbab ko yaad kar k,
rehta tha dil me mere v koi ..ek khash ban k.
na rakh sake unhe der tak sambhal k apne is madhusaala me baki sab hua barbaad isi haala me.
dhalti hai raat ..
subah hone ko rehta hai..
mann ek aur raakh girane ko kehta hai..
wapis aa jaati hai unglion me fir ek mehbooba...
sanam ko kaise chore yaroon? wo hai meri dilruba... laali si roshni suraj k ugne se v nirala hai.. aur jab ant ho jata hai is laali ka to fir ek jalana hai...
kyonki jab v mai hila hu apne is nark se zindagi me ... aakhirkaar isne hi sambhala hai.. isne hi sambhala hai....................!
kaafi nahi aj ka ye zalna..... kavi mujhe v jalne do !
-TJ
No comments:
Post a Comment