Dil Ka Rishta
Zindagi chalte rehne ka naam hai, aur zindagi ke saath chalti hain Saansein. aur jab tak ye saansein chalti hai tab tak chalta hai ye sarir aur hamari soch bhi zinda rehti hai, hum anek wayede karte hain aur bante hai Rishte, jinme se kuch khash hota hai jise kehte hai "Dil Ka Rishta"
hum sabhi ko apne pasand ko chun-ne ka haqq hai, aur unke saath zindagi jine ka bhi,
log mujhse puchte hai ye zindagi ka kya matlab hai..
zindagi to wo dhaara hai jo behti hi rehti hai.. ghulte hai jisme ehsaas , badhti hai meethas, sajte hai kuch sapne, hote hai pure sab armaan, badhti hai ghat-ti hai dooriyan aur ho jata hai pyar,
to fir mujhse pucha.. ye pyar hi zindagi hai?
maine kaha "nahi..." pyar to wo ehsaas hai jo ek boond ke barabar hai is vishal samundar-rupi-zindagi me, yah to wo meethas ki boond hai.. jo pure samundar ko meetha bana deti hai.
to phir usne pucha ki ye zindagi kya hai?
maine muskurate huye kaha, ye zindagi wo jeev ki tarah hai jiske irdh girdh anek vastu hai, aur har din wah jeev tamaam alag alag vastu se milta hai, us milan ke ek samuch srinkhala ko zindagi kehte hai.. !
Dil ka Rishta , bahot hi masoom hota hai, itna masoom ki wah bina kisi ki parvaah kiye ban jata hai, aur bina kisi laalach ke bhi bana rehta hai.. yah to us fool ki tarah hai jo tootne par bhi mehkta hi rehta hai, aur jaha tak iski sugandh jaati hai waha tak yah pyar ke geet gaata hi chala jata hai. ek anokha ehsaah hai ye, jo pyar hi hai, bus ek dooje ke liye jeene ki tammana hai, ek doosre ke vayede ko puri karne ki chahat hai, aur hai ye ek doosre ke saath rehne ki Koshish, jo aksar Safal hi hoti hai.

No comments:
Post a Comment