Sach
kehiye to ye sirf aur sirf meri choice hai ki aj, kal, aur beeta hua kal mere
hi decision ke mirror hain. Jo mai kal tha ;aj wahi hun, par sayad utna nahi
jitna ki mai kal hunga. Aj 4th jan 2012, ek sapne ki rimjhim bhari
khali si saber ki duniya me aapka swagat hai, jahan hai aag, barish, do jaan
aur andher wli subeh kin a dikhayi dene wali roshni. Jab tak ki ye mujhe pata
chalta kyo ho raha hai, meri jaan dikh gayi, dil ke dhadakne se pehle hi
duniya, aur duniya se pehle armaan dikh gayi, beete the jo pal aye hi nahi,
waise hi kuch khwab dikh gaye, Raaz thi duniya ko pata, par fir v wo pyar chup
gayi. Pata nahi kya mazboor tha , jo dil ka kasoor tha, jaan si ek pari meri
aankhon me utar gayi. Nanhi si barish fir aankhon se chalak gayi. Fir kya? Barshaat
huyi hansi ki , aur roshni huyi aansuon ke. Par us raat jane kaise roshni hi
barshaat ke piche chup gayi, Andher me nazar aati ek safed si pari meri jaan le
gayi, waqht bewaqht antra pehle aya, mukhda dil-e-kurbaan kar gayi. Aisa laga mano
ki zanzir payal ban gayi ho, dafan huye kafan fir koi lapet aaya, hamari malika
jo na thi, waqht uski tasveer le aya. Haye......! doob gaye hum is kashti me,
jo samandar nigal gayi, fir subah hua aisa ki School ki alarm ghanti baj gayi..
-TJ
No comments:
Post a Comment