Is saal fir mai wahi sochta hu
Insaniyat ke zamin par tiranga hum kab lehrayenge?
Garv se hum kab ye keh payenge ki shiksha ab humne hamare bete ko di hai,
Betiyon ke pairo ki bedi ab hatayenge?
Azad gagan me udne ko unko ab raah dikhayenge.
Kuch aisa kar jayenge ki unko mehfoos aur sashakt mehsoos karwayenge.
Kuch vehsi darinde jo hai hamre samaj me,
Maine socha ki kaun hai wo log..
Jo is kadar darondagi dikhate hai?
Kis soch ka nateeja hai ye ki ye kisi ke zindagi kharab karne aur maarne se nahi katrate hai ?
Abhi ki jo ghatna hai ghati Kolkata ke haspatal me, chahe ho wah kisi Delhi ke kisi bus me!
Bihar ke kisi gaon me, ya manipur ke kisi town me.
Yah soch wah ek uski soch nahi, ya sirf ek sabhi ki soch nahi jiska parinaam aisa bhayawah aata hai.
Yah wo soch hai jo kisi bhi mayene me ladkiyo ya aurato ko bhautikwadi soch ya nich dikahne ke liye jagruk hota hai.
Aapke hi ghar se yah soch panapta hai,
Aur aapke hi ghar tak wah maansik ya bhowtick roop se pahuchta hai...
Aap tak nahi pahuchta to aapke hi samaj me kisi tak pahuchta hai.
Baat sirf ek wah darindagi wali soch ki nahi hai,
Mai baat kar raha hu us soch ki jo wah darindagi wale soch ko falne foolne aur vaastavik roop se ho jane me madad karta hai.
Aur kshama chahunga, kadwa hai magar yah sirf ek soch nahi hai, yah ek laalach hai, jo ki ek bhrast bhi hai aur aatanki bhi.
Kisi bhi aise laachi aur bhrast ko hum sahara de rahe to hum kahi na kahi samjh me reh rahe wo darindagi wale soch ko bhi mehfoos kar rahe hote hai jo kisi na kisi pranali ka galat tarike se istemal kar ke hamare hi samjh me darindagi failata hai.
Aap agar kahi apne matlab ke liye kisi bharst ko rishwat dete hai, aur fir wah aapki surakhsha ke liye kaam nahi karta, aur un darindo ke saath uttha baithta hai to aap apne baccho ko bolte ho ki unse door raho. Bajaye iske ki aap apne jarurat ke waqht me jo bhrastachaariyon ka pet rishwat khila khila ke mota kar rahe ho wo na karo.
Laalach, bhrast buddhi, bhale hi darindagi na failaye, magar sach to yah hai ki in burayiyon ke saaaty darindagi bhi aati hai, aur unko seh milti hai.
Yah sach hai ki kanoon sab ke liye barabar nahi, agar aisa hota to nyaypalika sirf mashoor muddo me dilchaspi na lekar ek aisa pranali banati jisme har kisi ko insaaf mile.