Ruk gaya kahi door beh kar
Ruk gaya band Ankhon me jab
Dariya thi laal khoono ka yeh
Par jab dooba tha us paar
Rang na thi itni laal
Yaha fashe sochne laga us baadh ko
Fashe masoom aur kuch jaan ko
Yu to koi yaha kasoorwar na tha
Par hum jaha the,
waha bus intekaam tha
Darr hai unki aankhon me bhi meri tarah
Farq ye ki unhe hai Apni Astitva na banne ki
Aur meri 'hum' se bane rehne ki.
Pyar se darte h wo
Aur hum unki Aatank se
Khoono ki baat itni laal rahi hai
Masoomon ki bali kyo ye sawal rahi hai
Toota jab sitara,
Dua ki maine, waha haara.
Ho sayad unka bhi wahi rang..dikh jaye
Marne ke swapn dekhta mai aj
Na dekha jaha swatantrata ka khwab
Jo khud ke rang ko na samjhe
Wo kya jane zihad?
Wo kya kare zihad?
Fir se baadh aaya us dariya me
Badh gaya kuch door aage behosi me
Utha to aur gehra tha wo rang laal
Aur mai...
Ab aur na dekhunga marne ka khwab