.. Aur Kisi Din… Jab Samandar Kinare …..
Jane kaha kaha ki batein is blog par chal
rahi hai … magar..ek baat jo saman hai savi kahaniyo me wo hai PYAR or LOVE ..
none of any is unidentical.. all are just for love.. kuch khusi k pal aur kuch
gamm k pal.. magar pal to savi pya k hi hai..
Kuch aisi hi kahani aj nahi hai.. aj ek
kahani hai ek ladke ki jo sochna hai use ki agar uske paas koi v… koi v aisi
ladki aa jaye jo use solely love kare to kya wo apni lover.. jo us’se pyar
karti v hai ya nahi …pata nahi hai ..magar han… wo love me hai ek dusre k sath…
bas ikraar baki hai.. magar kya ladka ko agar koi mile to use chor dega? ….isi
sawal par ghumti hai is poem ki baatein..
Aur kisi din.. samandar kinare….
Isi trah ek din..
Mulaqaat huyi ek khubsoorat se..
Laga ki koi apna hi hai..
Jane kyo kar gye wo paraye se..
Mehfil loot li unhone aakar samandar
kinare..
Jab mujhe dikhi woe k chehra naya bayan
karte..
Sare sapne mano saj gye ek hi raat me..
Nind aa gyi din k andhero me..
Socha tham lu aj hi iska haat..
Magar kya sach hoga ye nawab?
Sayad nahi.. mere dil ne kaha..
Han fir v baat to kar hi sakta hu..
Har kuch chahe na chahe ..mann ki awaz to
chu hi sakta hu..
Paas pahucha.. badi saadgi thi us k
andar..
Mann kiya ki abhi banal u ise apni
dulhann..
Magar tha mai jo majboor..
Kaise karta ji huzoor..
Pucha maine chand se..
Ae chandni ki kasam tum kn ho?
Sabd alag the..
Chaal yahi thi..
Kahi.. mera naam hai priya
Apka? Puchi jaise hai..
Raj dikhi uski haath par likh..
Maine kaha “raj” mujhe bolte hai yaha
sabhi..
“Nice” kya kaam hai aage wo puchi..
Bs dil kiya.. to puch liya..
Koi galat to nahi kiya?
Are nahi.. wo hass kar boli..
Maine v apne dill ki baat tatoli..
Dil ne kaha na .. mat pad tu iske piche..
Kya hoga tmhari bechari ka ?
Na chor use …
Maine kaha.. bhai.. ye jyada achi lag
rahi ..
Akhi haar kar dil ne v kaha ..ja teri
marzi..
Udhar intezar me thi meri mehboob ..
Idhar v waqt tha aane ka priya ki..
Mai dhal chukka tha uske pyar me..
Puri tarah badal chukka tha uske sansar
me..
Na waqht ka pata raha na ishq ka..
Bas ho gya sufiyana..
Haye mere dil ka..
Ek sham …barish thi apne hi zor par ..
Dill dhadak raha tha milne ko us se… soch
raha tha bs priya k hi sapne..
Na jane kyo aj kuch alag tha,,, sayad
uski pyar ka …kuch alag sa asar tha..
Aj ki sham mai zaldi pahucha..
Dil jot ha bechain use dekhne ko..
Ankhein v thak chuki thi uske intezar
me..
Dekha to.. mila mujhe dhokha..
Kuch der pehle tak tha uski baanhon me
koi aur …
Mai tha khada… lachar .. majboor… jane
kaise koi kar chukka aisa..
Dil ne kaha ..thik wahi kiya tumne kiya
hai jaisa..
Bejaan ho gya dill ye bol kar..
Saanshein ruk gyi uski yaadon ko soch
kar..
Namm to thi ankhein barish se v..
Ab sach me bhing chuki thi palke v..
Piche mudha to maine paya apna pyar..
Khadi thi jo ladki wahi yhi mere sapno ki
sansaar..
Khud to keh na sake us se kuch..
Laga liya unhi ne gale humein..
Saj gayi wadiyan..
Jhul gaye jhule..
Khil gaye fool murjhaye..
Pyar hi pyar ho gya sama me..
Jo na ho paya tha ikraar varshon se…ho
gya aj in lamhon me..
-TJ