June 17th, 2011, 23.30..
Its raining..
Raining harshly.. Mah balcony is full of cold air and noises can be heared...
M going in silence of night.. Darkness is getting closer, dogs r barking.. Drops sounds like payal of her.. Cham cham , cham cham..
Is ret bhare samundr ko to dekho .. Jaise koi pani hi na thi..
Is banzar zami ko to dekho .. Jaise pani yaha kavi tehri hi na thi..
Is sukhe kuye ko to dekho.. Pyasha v na bhatakta h ab, is machali ko to dekho.. Ayishna hi chor diya.. Ayishna hi chor diya...
Rat ki is nakshe par tmhari kadmo k chanchanahat ko pehchane ki koshish karta hu jo barish k rimjhim rumjhum geet se mel khate hai, tmhari us hasi ko baya karna chahta hu jo ek musafir akeli rat me khwab dekhta hai subah ki kirno ka.. Us hawao ki taal par hilte patto ki trah mai hilta hu tmhare har ek awaz se, zalta hu mai tmhare har us baat se jo aj v mujhe yad hai.. Par tujhe sayad nahi, sayad nahi..
Meri tammana.. Khwahis to bhot kuch hai magar .. Kuch khas v nahi siwaye tmhare... Pata nahi aisa kyo lagta hai ki koi aur tmhare zagah hoti to mai kya karta , magar bat yaha khatm nahi hoti.. Ye to us ananat kaal tak jati hai zaha tak shayad roshni v na jati ho... Agar hamari taqdir me tm nahi to kon h? Aur agar hai to kaha ?..
Pehli to laga ha tm hi ho, fir ek ladki ayi, ab kya? ..mujhe nahi lagta D hai, islis ..ye ab kn wo R ? . . ,.heheha nahi nahi, wo to bs ek bahana hai apko mujhe chidhane ka..
Dosto ne kaha S chod do,
D ne kaha dosto ko chod do.. Ab ap kya bolte hai mai duniya chod du?..
Nahi ye ko Dev das ka dialoug nahi hai. Ye hai apni vishwas , wo vishwas aur determination jo janti hai ha tm ho tm hi ho..
Pani ki tashveer ho tm,
bharat ki kashmir ho tm..
Khuda k rup me insaan
aur meri zindgi k liye noor ho tm...
Barish ne mujhe tmhari yad dilayi.. Likhne pe mazboor kiya.....
Kal subah hi ab ye barish chutegi.. . . ..
Bye..
-
-